Ae habib-e-ahmad-e-mujtaba - salam

Ae Habib-e-Ahmad-e-Mujhtaba...

Ae habib-e-ahmad-e-mujhtaba..
Dile mubtala ka salam lo...
Jo wafa ki raha mein khogaya...
Ussi gum shuda ka salam lo....

Ya rasoolullah... Ya habiballah...
Mere aaqa... Pyare aaqa....

Mai talab se baaz na aaunga..
Tu karam ka haat badaeja...
Jo tere karam se hai aashena..
Ussi aashena ka salam lo..

Ya rasoolullah... Ya habiballah...
Mere aaqa... Pyare aaqa....

Koi mar raha hai barisht par..
Koi chahata hai nijaat ko..
Mai tujhe ko chahun khuda kare...
Meri iss aada ka salam lo....

Ya rasoolullah... Ya habiballah...
Mere aaqa... Pyare aaqa....

Wo hussain jisne chidar ke khoon..
Chamane wafa ko hara kiya...
Ussi jaan-nisaar ka wasta...
Ke har ek gada ka salam lo...

Ya rasoolullah... Ya habiballah...
Mere aaqa... Pyare aaqa....

Yehi raat din hai dua meri..
Ke maru to tere dayaar me..
Yehi muada-e-hayaat hai...
Issi muada ka salam lo..

Ya rasoolullah... Ya habiballah...
Mere aaqa... Pyare aaqa....

Tere aasta ke talas me..
Tere justjo ke khayaal me...
Jo luta chuka hai mata-e-dil..
Ussi be nawa ka salam lo....

Ya rasoolullah... Ya habiballah...
Mere aaqa... Pyare aaqa....

Tera noor ho mere sine me..
Mile luft mujhko bhi jine me..
Meri haaziri ho madine me..
Meri iss dua ka salam lo...

Ya rasoolullah... Ya habiballah...
Mere aaqa... Pyare aaqa....

Ae habib-e-ahmad-e-mujhtaba..
Dile mubtala ka salam lo...
Dile gamzada ka salam lo...
Dile mubtala ka salam lo...

*********************************************************************************
For more naat Click here
For tunes of the same salam Click here

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Sahara chahiye sarkar zindagi ke liye naat lyrics- by Hafiz Tahir Qadri

Chodh fikr duniya ki - hafiz tahir qadri

Ya nabi salam alaika (all sher)