Taj daare-e-haram ae shahenshah-e-deen - salam

Tajdaar-e-haram ae shahenshah-e-deen...

Taj daare haram ae shahenshah-e-deen..
Tumpe hardam karodo durood-o-salam..
Ho nigaahe-karam humpe sultaan-e-deen..
Tumpe hardam karodo durood-o-salam..

Door rahkar na dum too'th jaae kahi..
Kash taiba me ae mere mahe mubeen...
Dafan hone ko mil jaae doo gaz zami..
Tumpe hardam karodo durood-o-salam..

Koi hunne a'mal paas mere nahi..
Fash na jaaoo kayamat me maula kahi..
Aae shafi-e-ummam laaj rakhna tumhi...
Tumpe hardam karodo durood-o-salam..

Teeri yaado se maamoor sina rahe..
Labpe hardam madina madina rahe..
Bas mai deewaana ban jaoon sultan-e-deen..
Tumpe hardam karodo durood-o-salam..

Ma'uth ke wakth kardo nigah-e-karam..
Kaash iss shan se ye nikal jaee dum..
Sange darpe tumhare ho meri jabi..
Tumpe hardam karodo durood-o-salam..

Ab madine me sabko bula lijiee..
Aur sina madina bana dijiee..
Bahere gausul-wara ae imam-e-mubeen..
Tumpe hardam karodo durood-o-salam..

Phir bulalo madine me attar ko..
Ye tadapta hai taiba ke deedaar ko..
koi iske siwah aarzo hi nahi..
Tumpe hardam karodo durood-o-salam..

Tumpe hardam karodo durood-o-salam..

*********************************************************************************
For more naat Click here
For tunes of the same salam Click here

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Sahara chahiye sarkar zindagi ke liye naat lyrics- by Hafiz Tahir Qadri

Chodh fikr duniya ki - hafiz tahir qadri

Ya nabi salam alaika (all sher)