Dar-e-Nabi par - hafiz tahir qadri

Dar-e-Nabi Par...



Dar-e-Nabi par ye umr beete...
Hoo humpe luft-e-dawaam aesa..

Meri jaan madina..
Dil ka chain madina..
Ankho ka tara madina..
Sab ka sahara madina..
Sarkaar ka madina....

Dar-e-Nabi par ye umr beete...
Hoo humpe luft-e-dawaam aesa..
Madine wale kahen makami..
Ho unke dar par qayam aesa..

Namaz aqsa me jab padhae...
To ambiya aur rusool ye bole..
Namaz ho to namaz aesi..
Imam ho to imam aesa..

Dar-e-Nabi par ye umr beete...
Hoo humpe luft-e-dawaam aesa..
Madine wale kahen makami..
Ho unke dar par qayam aesa..

Taiba me ho mera ghar..
Aesa karam ho sarwar..
Gumbad ko jab bhi dekho..
Padhlo salam tum par..

Bilal tujh par nisaar jaoo..
Ke khud nabi ne tujhe kharida...
Nasib ho to nasib aesa..
Gulam ho to bilal jaisa...

Dar-e-Nabi par ye umr beete...
Hoo humpe luft-e-dawaam aesa..

Labo pe naam-e-nabi jab aaya..
Gurez pa haadison ko paya..
Jo taal deta hai mushkilo ko..
Mere nabi ka hai naam aesa..

Meri bigri banae ko, nabi ka naam kafi hai..
Hazaro gum mitane ko, nabi ka naam kafi hai..
Gumo ki dhoop ho ya phir, hawae teez chalti hoo..
Mere is aa-siyaneko, nabi ka naam kafi hai... 
Jo taal deta hai mushkilo ko..
Mere nabi ka hai naam aesa..

Mujhe ko dekho wo be talab he..
Nawaz te ja rahe hai paihum...
Na koi mera amal hai aesa..
Na koi mera hai kaam aesa..

Na koi.. amal hai.. suna ke kabil..
Na muh hai tumhaare dikhane ke kabil..
Lagate ho usko he sine se aaqa..
Jo hota nahi muh lagane ke kabil..
Na koi mera amal hai aesa..
Na koi mera hai kaam aesa..

Dar-e-Nabi par ye umr beete...
Hoo humpe luft-e-dawaam aesa..
Madine wale kahen makami..
Ho unke dar par qayam aesa..

Mai khalid apne nabi pe qurbaan..
Hai jinka khulqe azim qura'an..
Hai raushni jiski do jahan me..
Kahe hai mahe tamam aesa...

Dar-e-Nabi par ye umr beete...
Hoo humpe luft-e-dawaam aesa..
Madine wale kahen makami..
Ho unke dar par qayam aesa..

Madina tun nabi.... Madina tun nabi.... Madina tun nabi....

***********************************************************************************
For more naat Click here

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Sahara chahiye sarkar zindagi ke liye naat lyrics- by Hafiz Tahir Qadri

Chodh fikr duniya ki - hafiz tahir qadri

Ya nabi salam alaika (all sher)