Sahara chahiye sarkar zindagi ke liye naat lyrics- by Hafiz Tahir Qadri
Sahara chahiye sarkar zindagi ke liye..... Mere aaqa madiny bula lijiye Mere aaqa madiny bula lijiye Sahara chahye sarkar zindagi k liye... Tarap raha hoon madine ki haazri k liye.. Tayyaba k jaany waly..Jaa kr bary adab se.. Mera bhi qisaa e gham kehna shah-E-arab se.. Kehna k shah-e- aalam..Ek ranjo ghum ka mara.. Dono jahan mein jis ka hain aap hi sahara.. Haalat e pur alam se iss dum guzar raha hai Or kampty labon se faryaad kr raha hai.. Paaye gunaah apna hai dosh par uthaye.. Koi nahi hai aesa jo pochny ko aaye.. Bola howa musafir manzil ko dondta hai.. Taarikyoo ko maah-e-kamil ko dondta hai.. Seeny mein hai andhera..Dil hai shiyaah khana.. Ye hai meri kahani sarkaar ko sunana.. Kehna mere nabi se maheroom hoo khushi se.. Kehna mere nabi se maheroom hoo khushi se.. Sarwar qabr-e-ghum hai.. ashkon se aankh num hai... Paamal-e-zindgi hoo sarkar umati hoo.. Ummat k rehnmao kuch arz-e-haal sun lo.. faryaad kr raha ho..main dil figar kb se...
For more Naat Lyrics visit www.verselyrics.com
ReplyDelete